Pages

Saturday, January 29, 2011

Abhi Kuch Din Lagain Ge


Abhi kuch din lagain ge
Dil aisay sheher ke pamaal ho janay ka manzar
Bhoolnay mein
Abhi kuch din lagain ge

Jahaan-e-rang ke
Saray khas-o-khaashaak
Sab sarv-o-sanobar bhoolnay mein
Abhi kuch din lagain ge

Thakay haray huay khwaabon ke sahil per
Kahin umeed ka chota sa ik ghar bantay bantay reh gaya hai
Woh ik ghar bhoolnay mein,
Abhi kuch din lagain ge

4 comments:

Aliza said...

love love loveeee it. Thankyou so much for sharing it!

Anonymous said...

Bahut accha tha...
Its more like my poems in English, very well written..I like the choice of words too..:)
Keep blogging!

MothSmokeLover said...

@ Lizzie - Thanks for dropping by. Miss your write ups.

@ Fiducia - I wish I had written this. Thanks for dropping by :).

UnderTheSameSky said...

reminds of some really beautiful lines:
hume maaloom hai doh dil judyai seh nai sakte
magar rasme wafa ye hai ki ye bhi keh nai sakte
zara kuch der tum unn saahilo ki cheekh sunn bhi lo
jo lehro mei toh doobe hai magar sang beh nai sakte.


tumhare paas hu lekin joh doori hai samajhta hu
tumhare bin meri hasti adhuri hai samajhta hu
tume mei bhool jaunga ye mumkin hai nahi lekin
tumhi ko bhoolna sabse zaruri hai, samajhta hu.

Lovely people who read my blog